Thursday 4 December 2014

Us se milne ko kabhi hum jo machal jate hain (Ghazal SMS)


Us se milne ko kabhi hum jo machal jate hain,
Tou khayalon mein bohut door nikal jate hain,

Gar wafaon mein sadaqat bhi ho hidayat bhi,
Phir tou ehsas se pathar bhi pighal jate hain,

Uski ankhon k nashy mein hoon jab se dooba,
Lar-kharaty hain qadam or sanbhal jate hain,

Bewafai ka mujhe jab bhi khayal ata hy,
Ashk rukhsar py aankhon se phisal jate hain,

Piyar mein ek hi mosam hai baharon ka "Faraz"
Log mosam ki tarah kese badal jate hain, 

0 comments:

Post a Comment