Friday 5 December 2014

Bol hawa, uss par zamanay kesaiy hain (Ghazal SMS)

Bol hawa, uss par zamanay kesaiy hain?
Ujray shehar mein yaar puranay kesaiy hain?

Chaand uterta hain ab kis kis aangan mein,
Kirnon se mehroom gharanay kesaiy hain?

Lab basta darwazon par kya beet gayi,
Galiyoon se mansoob afsaanay kesaiy hain?

Jin k jhurmat mein shaamain dam torr gaeen,
Wo pyaaray,pagal parwaanay kesaiy hain?

Mohsin hum tou khair khabar se dar guzray,
Apnay roothay yaar na janay kesaiy hain?

0 comments:

Post a Comment