Friday 28 November 2014

Mere Chara'Gar Tujhe Kya Khabar

Mere Chara'Gar Tujhe Kya Khabar, K Yeh Dard
Kitna Ajeeb Hai, Na Sakoon-E-Dil , Na Qarar-E-
Jaan, Na Hi Neend Mujh Ko Naseeb Hai!! Yeh Ajab
Hai Qissa-E-Zindagi, Wo Mila Toh Raah-E-Hayat
Mein, Mujhe Wo Nashat-O-Khusi Mili, K Sakoon,
Farhat-O-Itminaan!! Meri Dharknon Main Sama
Gaye, Wo Jo Dard Ankh Main Qaid The, Maray
Aansuon Main Naha Gaye, Mujhay Har Qadam Pe
Guma Hua, K Badal Rahi Hain Haqeeqtain, K
Bikhar Rahi Hain Musaftain, Per Us K Baad Yeh
Kya Huwa? ? Wo Gaya To Cheen Ke Ley Gaya
Mera Chain, Sabr-O-Qarar Bhi, Meri Rahatein ,
Meri Chahatein, Meri Zindagi Ki Bahar Bhi, Mera
Likhna Aur Mera Sochna, Mera Husn , Mera Nikhar
Bhi, Main Ne Hasna Khailna Chor Kar, Issi Ghum
Ko Dil Se Laga Liya, Mere Chara'Gar Tujhay Kya
Khabar?? K Ajab Hain Ishq K Mamlay, Na Hi Meri
Basat Hai Iss Qadar, K Main Us Ko Dil Se Nikal
Kar, Kisi Aur Dar Ka Gada Banun, Na Yeh Tere
Bass Ki Hi Baat Hai, K Mere Dard Ki Tu Dawa
Kare, K Mere Dard Ka Jo Ilaaj Hai, Teri Puhanch
Teri Basat Se, Teri Soch Se Bhi Hai Mawra, To
Kahan Se Lao Ge Dhoond Kar Mere Chain , Sabr-
O-Qarar Ko, Tujhe Keh Raha Hon Main Chara'Gar,
Mere Zakham Pe Yeh Dawa Na Rakh, Mere Dard Ki
Yeh Dawa Nahi, Main Mareez-E-Ishq Hun Iss Liye,
Mera Theek Hona Muhal Hai, Mere Chara'Gar
Tujhay Kya Khabar……??

3 comments:

  1. किसान भी लाभ के प्रति खिंच कर खुद ही हस्तक्षेप को आमंत्रित कर रहे हैं. हाल की बात करें तो बेमौसम बारिश के कारण हुए नुकसान के बाद राहत की मांग इसका उदाहरण है. यह मांग उन इलाकों से भी उठ रही है जहां बहुत अधिक नुकसान नहीं हुआ है और इसे बढ़ा-चढ़ाकर पेश किया गया है. सरकार जो भी सहायता प्रदान करेगी उससे उनकी विपदा कम होगी लेकिन यह बात कृषि संबंधी फैसलों की संभावनाओं को भी सीमित करेगी.

    ___________________
    भारतीय किसान | ताजा खबरें | हमारा देश भारत | राजनीति

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  3. advocates in Chandigarh
    There is awesome lines and you doing good job keep it up.

    ReplyDelete