Thursday 27 November 2014

Aanay walay din ki fakr na kar kiyon


  1. Aanay walay din ki fakr na kar kiyon k us din agar teri zindagi hay tou Allah tera rizq bhi saath dega... 
  2. Pasand us ko nahi karo jo duya mein sab se ziyada khubsorat ho, 

    Balkay pasand us ko karo jo tumhari zindagi ko khubsorat bana day. 
  3. Khaaliq se mangna shujaat hay, 

    Agar de day tou rehmat.. 
    Agar na day tou hikmat hay.. 

    Makhloq se mangna zilat, 

    Agar de day tou ehsaan.. 
    Agar na day tou sharmindagi...
  4. Rishtey khoon k nahi hotay... 

    Rishtey ehsaas k hotay hain 

    Agar ehsaas ho tou ajnabi bhi apne... 

    Agar ehsaas na ho tou apne bhi ajnabi:- 
  5. Kon kehta hai k Khuda nazar nahi aata...? 

    Wohi nazar aata hai jab kuch nazar nahi aata...! 
**********************************************************************************************************

0 comments:

Post a Comment